teri zulfon se judai to nahin mangi thi
terī zulfoñ se judā.ī to nahīñ māñgī thī
qaid māñgī thī rihā.ī to nahīñ māñgī thī
maiñ ne kyā jurm kiyā aap ḳhafā ho baiThe
pyaar māñgā thā ḳhhudā.ī to nahīñ māñgī thī
merā haq thā tirī āñkhoñ kī chhalaktī mai par
chiiz apnī thī parā.ī to nahīñ māñgī thī
apne bīmār pe itnā bhī sitam Thiik nahīñ
terī ulfat meñ burā.ī to nahīñ māñgī thī
teri zulfon se judai to nahin mangi thi
qaid mangi thi rihai to nahin mangi thi
main ne kya jurm kiya aap KHafa ho baiThe
pyar manga tha KHhudai to nahin mangi thi
mera haq tha teri aankhon ki chhalakti mai par
chiz apni thi parai to nahin mangi thi
apne bimar pe itna bhi sitam Thik nahin
teri ulfat mein burai to nahin mangi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.