tesha-ba-dast aa mere aazar tarash de
tesha-ba-dast aa mire aazar tarāsh de
be-Dol hai bahut mirā paikar tarāsh de
gar qumriyoñ ke naġhme girāñ-bār haiñ tujhe
is rut meñ saare sarv sanobar tarāsh de
yuuñ uḌ ga.ī hai bū-e-vafā us kī zaat se
jis tarah koī shāḳh-e-gul-e-tar tarāsh de
uḌnā agar hai bād-e-muḳhālif kā dhyān rakh
aisā na ho ki tez havā par tarāsh de
kyā mom ke badan kī haqīqat tire liye
tū chāhe to nigāhoñ se patthar tarāsh de
tesha-ba-dast aa mere aazar tarash de
be-Dol hai bahut mera paikar tarash de
gar qumriyon ke naghme giran-bar hain tujhe
is rut mein sare sarw sanobar tarash de
yun uD gai hai bu-e-wafa us ki zat se
jis tarah koi shaKH-e-gul-e-tar tarash de
uDna agar hai baad-e-muKHalif ka dhyan rakh
aisa na ho ki tez hawa par tarash de
kya mom ke badan ki haqiqat tere liye
tu chahe to nigahon se patthar tarash de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.