tesha-e-ishq ne toDa hai har ek sang-e-giran
tesha-e-ishq ne toḌā hai har ik sang-e-girāñ
ishq ke zer-e-qadam jū-e-baqā jū-e-ravāñ
jab ubharte haiñ kahīñ dil kī bahāroñ ke nishāñ
aur baḌh jaatī hai rangīnī-e-tārīḳh-e-jahāñ
hai nigāhoñ meñ mirī bazm-e-mohabbat kā samāñ
kaash kuchh der Thahar jaa.e jahān-e-guzarāñ
phir tirī yaad kī murjhāne lagī haiñ kaliyāñ
zindagī hai ki koī rahguzar-e-bād-e-ḳhizāñ
tum chale saath to jal uTThe haiñ rāhoñ meñ charāġh
saath chhūTā hai to dhuñdlā ga.e manzil ke nishāñ
qasr-e-rangīñ ke makīnoñ ko ḳhabar hai ki nahīñ
pas-e-dīvār hai ik qāfila-e-nauha-garāñ
zindagī se haiñ ibārat tire ash.ār 'payām'
tere naġhmoñ meñ dhaḌaktā hai dil-e-kaun-o-makāñ
tesha-e-ishq ne toDa hai har ek sang-e-giran
ishq ke zer-e-qadam ju-e-baqa ju-e-rawan
jab ubharte hain kahin dil ki bahaaron ke nishan
aur baDh jati hai rangini-e-tariKH-e-jahan
hai nigahon mein meri bazm-e-mohabbat ka saman
kash kuchh der Thahar jae jahan-e-guzaran
phir teri yaad ki murjhane lagi hain kaliyan
zindagi hai ki koi rahguzar-e-baad-e-KHizan
tum chale sath to jal uTThe hain rahon mein charagh
sath chhuTa hai to dhundla gae manzil ke nishan
qasr-e-rangin ke makinon ko KHabar hai ki nahin
pas-e-diwar hai ek qafila-e-nauha-garan
zindagi se hain ibarat tere ashaar 'payam'
tere naghmon mein dhaDakta hai dil-e-kaun-o-makan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.