tez hawa ke jhonke shab-bhar Takraate hain peDon se
tez havā ke jhoñke shab-bhar Takrāte haiñ peḌoñ se
kitne patte aañsū ban kar girte haiñ in shāḳhoñ se
maiñ bhī tanhā baiThī terī soch meñ Duubī rahtī huuñ
tum bhī bāteñ karte hoge apne milne vāloñ se
kirneñ bistar tak aatī haiñ TuuTe ḳhvāb uThāne ko
andar ke dukh kab chhupte haiñ in khiḌkī ke pardoñ se
dīvāroñ se uktā.ūñ to dhyān baTānā paḌtā hai
ḳhush hotī huuñ bāteñ kar ke galī meñ khelte bachchoñ se
almārī ke ik ḳhāne meñ yaad kisī kī rakkhī aur
us kī chābī laTkā dī hai ātī-jātī sāñsoñ se
jaane vaale jaise jaate haiñ vaise kab aate haiñ
āñkheñ vīrāñ ho jaatī haiñ bāteñ kartī rastoñ se
tez havā se Takrāne meñ ek hunar thā kashtī kā
log tamāsha dekh rahe the baiThe duur kināroñ se
ab to us se mil kar dekhūñgī vo kaisā lagtā hai
phūloñ sī ḳhushbū aatī hai 'jānāñ' jis kī bātoñ se
tez hawa ke jhonke shab-bhar Takraate hain peDon se
kitne patte aansu ban kar girte hain in shaKHon se
main bhi tanha baiThi teri soch mein Dubi rahti hun
tum bhi baaten karte hoge apne milne walon se
kirnen bistar tak aati hain TuTe KHwab uThane ko
andar ke dukh kab chhupte hain in khiDki ke pardon se
diwaron se uktaun to dhyan baTana paDta hai
KHush hoti hun baaten kar ke gali mein khelte bachchon se
almari ke ek KHane mein yaad kisi ki rakkhi aur
us ki chabi laTka di hai aati-jati sanson se
jaane wale jaise jate hain waise kab aate hain
aankhen viran ho jati hain baaten karti raston se
tez hawa se Takrane mein ek hunar tha kashti ka
log tamasha dekh rahe the baiThe dur kinaron se
ab to us se mil kar dekhungi wo kaisa lagta hai
phulon si KHushbu aati hai 'jaanan' jis ki baaton se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.