tez hawaen hain gham ki
tez havā.eñ haiñ ġham kī
ḳhair manāo mausam kī
jab ham ne kuchh ġhaur kiyā
dil meñ ek kiran chamkī
aaj bhī hai apnī hī jagah
baat hayāt-e-barham kī
paa.eñ bhī to kyā ta.abīr
ham ik ḳhvāb-e-mub.ham kī
phuul se hañste chehre haiñ
raunaq bāġh-e-ālam kī
tum bhī vahī ho ham bhī vahī
koshish sab ne paiham kī
zauq-e-safar hai husn-e-nazar
kuchh bhī kaho pech-o-ḳham kī
kaise ho hassās 'rabāb'
ab kyā sūrat hai ġham kī
tez hawaen hain gham ki
KHair manao mausam ki
jab hum ne kuchh ghaur kiya
dil mein ek kiran chamki
aaj bhi hai apni hi jagah
baat hayat-e-barham ki
paen bhi to kya tabir
hum ek KHwab-e-mubham ki
phul se hanste chehre hain
raunaq bagh-e-alam ki
tum bhi wahi ho hum bhi wahi
koshish sab ne paiham ki
zauq-e-safar hai husn-e-nazar
kuchh bhi kaho pech-o-KHam ki
kaise ho hassas 'rabab'
ab kya surat hai gham ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.