tez hoti ja rahi hai kis liye dhaDkan meri
tez hotī jā rahī hai kis liye dhaḌkan mirī
ho rahī hai rafta rafta aañkh bhī raushan mirī
zehn ke ḳhānoñ meñ jaane vaqt ne kyā bhar diyā
be-sabab hone lagī ik ek se an-ban mirī
jaise jaise gutthiyoñ kī Dor haath aatī ga.ī
kuchh isī raftār se baḌhtī ga.ī uljhan mirī
aisā lagtā hai ki merī saañs phir ghuT jā.egī
phir anā kī nok par uThne lagī gardan mirī
kyā koī saaya tulū hone lagā hai phir idhar
phir se kyuuñ hone lagī hai dūdhiyā chilman mirī
tez hoti ja rahi hai kis liye dhaDkan meri
ho rahi hai rafta rafta aankh bhi raushan meri
zehn ke KHanon mein jaane waqt ne kya bhar diya
be-sabab hone lagi ek ek se an-ban meri
jaise jaise gutthiyon ki Dor hath aati gai
kuchh isi raftar se baDhti gai uljhan meri
aisa lagta hai ki meri sans phir ghuT jaegi
phir ana ki nok par uThne lagi gardan meri
kya koi saya tulu hone laga hai phir idhar
phir se kyun hone lagi hai dudhiya chilman meri
- Book : Aank Mein Luknat (Pg. 86)
- Author : Ghazanfar
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.