tez kaTārī laa.ī bhor
TuuT ga.ī sapnoñ kī Dor
jab ho man ke andar chor
kaun machā.e bāhar shor
TuuT ke kitne peḌ gire
dekh havā kā andhā zor
bādal jhuum ke barsā hai
naach rahā hai man kā mor
ek kahānī do unvān
ThiThure haath sulagtī por
pyāsī dhartī kyā roī
ghir aa.e bādal ghanghor
merā dil hai ek patang
'rāj' na khīñcho kachchī Dor
tez kaTari lai bhor
TuT gai sapnon ki Dor
jab ho man ke andar chor
kaun machae bahar shor
TuT ke kitne peD gire
dekh hawa ka andha zor
baadal jhum ke barsa hai
nach raha hai man ka mor
ek kahani do unwan
ThiThure hath sulagti por
pyasi dharti kya roi
ghir aae baadal ghanghor
mera dil hai ek patang
'raj' na khincho kachchi Dor
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.