Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tha ajab seminar ka mausam tabsire ho rahe the har fan par

Nawaz Asimi

tha ajab seminar ka mausam tabsire ho rahe the har fan par

Nawaz Asimi

MORE BYNawaz Asimi

    thā ajab seminar mausam tabsire ho rahe the har fan par

    shā.erī par sabhī qaul thā ye gard kitnī jamī hai darpan par

    aaj qistoñ meñ dhuup utrī hai par baḌe karr-o-farr se utrī hai

    aaj sūraj hai Dūbne ko magar dhuup ke naqsh-e-pā haiñ āñgan par

    aaj bādal phaTe haiñ āñkhoñ meñ aaj sailāb aane vaalā hai

    aaj chehre ke koh TūTeñge aur chaTāneñ gireñgī dāman par

    kashmakash meñ haiñ tinke chhappar ke ḳhaak ho jaa.eñ ThiThurte raheñ

    barq barq hai fazāoñ meñ os os hai nasheman par

    aap muslim haiñ aap ke sar par muftī sāhab qaul utregā

    kufr aur shirk aur bid.at ke fatve aate nahīñ barahman par

    ḳhaal jis ne 'navāz' udheḌī hai vo darzī hai mere paikar

    vo gin kar batā.egā tum ko kitne paivand haiñ mire tan par

    tha ajab seminar ka mausam tabsire ho rahe the har fan par

    shaeri par sabhi ka qaul tha ye gard kitni jami hai darpan par

    aaj qiston mein dhup utri hai par baDe karr-o-farr se utri hai

    aaj suraj hai Dubne ko magar dhup ke naqsh-e-pa hain aangan par

    aaj baadal phaTe hain aankhon mein aaj sailab aane wala hai

    aaj chehre ke koh TuTenge aur chaTanen girengi daman par

    kashmakash mein hain tinke chhappar ke KHak ho jaen ya ThiThurte rahen

    barq hi barq hai fazaon mein os hi os hai nasheman par

    aap muslim hain aap ke sar par mufti sahab ka qaul utrega

    kufr aur shirk aur bidat ke fatwe aate nahin barahman par

    KHal jis ne 'nawaz' udheDi hai wo hi darzi hai mere paikar ka

    wo hi gin kar bataega tum ko kitne paiwand hain mere tan par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now