tha bhulana jinhen phir bhi wahi gham yaad aae
thā bhulānā jinheñ phir bhī vahī ġham yaad aa.e
ham mile bhī to zamāne ke sitam yaad aa.e
kār-e-duniyā meñ na shabnam hai na ambar na gulāb
dahr dekhā to tirī zulf ke ḳham yaad aa.e
yaad kar ke tumheñ rone kā zamāna bhī gayā
aaj royā huuñ to samjhā huuñ ki tum yaad aa.e
bhar ke jhīloñ ko chalā jaatā hai sāvan jaise
is tarah yaad hai vo shaḳhs jo kam yaad aa.e
ye to sach hai thā mire lab ke qarīñ aur gulāb
ye bhī sach hai mujhe us vaqt bhī tum yaad aa.e
tha bhulana jinhen phir bhi wahi gham yaad aae
hum mile bhi to zamane ke sitam yaad aae
kar-e-duniya mein na shabnam hai na ambar na gulab
dahr dekha to teri zulf ke KHam yaad aae
yaad kar ke tumhein rone ka zamana bhi gaya
aaj roya hun to samjha hun ki tum yaad aae
bhar ke jhilon ko chala jata hai sawan jaise
is tarah yaad hai wo shaKHs jo kam yaad aae
ye to sach hai tha mere lab ke qarin aur gulab
ye bhi sach hai mujhe us waqt bhi tum yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.