tha KHafa mujhse bad-guman bhi tha
thā ḳhafā mujh se bad-gumān bhī thā
aur vahī mujh pe mehrbān bhī thā
jab sitāroñ kī zad meñ aa.ī maiñ
tab lagā sar pe āsmān bhī thā
phuul kitne khile the dil meñ magar
ik vahīñ zaḳhm kā nishān bhī thā
kis se kartī maiñ dhuup kā shikva
merā sūraj hī sā.ebān bhī thā
zabt-e-ehsās ham bhī kar leñge
is yaqīñ par 'sabā' gumān bhī thā
tha KHafa mujh se bad-guman bhi tha
aur wahi mujh pe mehrban bhi tha
jab sitaron ki zad mein aai main
tab laga sar pe aasman bhi tha
phul kitne khile the dil mein magar
ek wahin zaKHm ka nishan bhi tha
kis se karti main dhup ka shikwa
mera suraj hi saeban bhi tha
zabt-e-ehsas hum bhi kar lenge
is yaqin par 'saba' guman bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.