tha koi ya nahin tha jo kuchh tha
thā koī yā nahīñ thā jo kuchh thā
dil ke andar kahīñ thā jo kuchh thā
tū bhī apne se ḳhush-gumāñ thā bahut
maiñ bhī apne ta.iiñ thā jo kuchh thā
shahr-e-ḳhūbāñ meñ vo vafā-dushman
ḳhūbsūrat-tarīñ thā jo kuchh thā
durd-e-mai thī ki talḳhī-e-hastī
jaam meñ tah-nashīñ thā jo kuchh thā
chhoḌ aa.e 'abas dar-e-jānāñ
yaar sab kuchh vahīñ thā jo kuchh thā
'ishq iksīr thā diloñ ke liye
zahr thā añgbīñ thā jo kuchh thā
hosh aayā to ab khulā hai 'farāz'
maiñ to kuchh bhī nahīñ thā jo kuchh thā
tha koi ya nahin tha jo kuchh tha
dil ke andar kahin tha jo kuchh tha
tu bhi apne se KHush-guman tha bahut
main bhi apne tain tha jo kuchh tha
shahr-e-KHuban mein wo wafa-dushman
KHubsurat-tarin tha jo kuchh tha
durd-e-mai thi ki talKHi-e-hasti
jam mein tah-nashin tha jo kuchh tha
chhoD aae 'abas dar-e-jaanan
yar sab kuchh wahin tha jo kuchh tha
'ishq iksir tha dilon ke liye
zahr tha angbin tha jo kuchh tha
hosh aaya to ab khula hai 'faraaz'
main to kuchh bhi nahin tha jo kuchh tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.