tha meri jast pe dariya baDi hairani mein
thā mirī jast pe dariyā baḌī hairānī meñ
kyuuñ mirā aks bahut der rahā paanī meñ
shāyad is ḳhaak se ḳhurshīd koī uTThegā
so maiñ rahtā huuñ anāsir kī nigahbānī meñ
pās-e-ādāb ki yaañ der nahīñ lagtī hai
mīr-e-zindāñ ko badalte hue zindānī meñ
un kī āvāz ko ḳhātir meñ na laane vaalo
tum ne dariyāoñ ko dekhā nahīñ tuġhyānī meñ
vo ajab daur-e-mohabbat thā zamāna thā na vaqt
jaise donoñ hoñ kisī ālam-e-lā-fāni meñ
vo bhī tasvīr sā āġhāz-e-mohabbat meñ rahā
maiñ bhī thā ā.īna-ḳhānoñ kī sī hairānī meñ
koī ġham-ḳhvār nazar aa.e to Dar jaatā huuñ
ye bhī aaseb na ho qālab-e-insāni meñ
mere hoñToñ hī pe uḌtī rahī āvāz kī raakh
kaise lau de ye kisī ḳhitt-e-barfānī meñ
terī bastī ko ḳhudā ishq se ābād rakhe
jis ne ābād rakhā hai mujhe vīrānī meñ
tha meri jast pe dariya baDi hairani mein
kyun mera aks bahut der raha pani mein
shayad is KHak se KHurshid koi uTThega
so main rahta hun anasir ki nigahbani mein
pas-e-adab ki yan der nahin lagti hai
mir-e-zindan ko badalte hue zindani mein
un ki aawaz ko KHatir mein na lane walo
tum ne dariyaon ko dekha nahin tughyani mein
wo ajab daur-e-mohabbat tha zamana tha na waqt
jaise donon hon kisi aalam-e-la-fani mein
wo bhi taswir sa aaghaz-e-mohabbat mein raha
main bhi tha aaina-KHanon ki si hairani mein
koi gham-KHwar nazar aae to Dar jata hun
ye bhi aaseb na ho qalab-e-insani mein
mere honTon hi pe uDti rahi aawaz ki rakh
kaise lau de ye kisi KHitt-e-barfani mein
teri basti ko KHuda ishq se aabaad rakhe
jis ne aabaad rakha hai mujhe virani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.