Thahra hai qarib-e-jaan aa kar
Thahrā hai qarīb-e-jān aa kar
jaane kā nahīñ ye dhyān aa kar
ā.īna liyā to terī sūrat
hañsne lagī darmiyān aa kar
Tapke na ye ashk chashm-e-ġham se
jaa.e na ye mehmān aa kar
palTī jo havā ga.e dinoñ kī
dohrā ga.ī dāstān aa kar
qadmoñ se lipaT ga.e haiñ raste
aatā hī nahīñ makān aa kar
jā pahuñchī zamīn us se milne
miltā na thā āsmān aa kar
Thahra hai qarib-e-jaan aa kar
jaane ka nahin ye dhyan aa kar
aaina liya to teri surat
hansne lagi darmiyan aa kar
Tapke na ye ashk chashm-e-gham se
jae na ye mehman aa kar
palTi jo hawa gae dinon ki
dohra gai dastan aa kar
qadmon se lipaT gae hain raste
aata hi nahin makan aa kar
ja pahunchi zamin us se milne
milta na tha aasman aa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.