Thahri Thahri si zindagi kyon hai
Thahrī Thahrī sī zindagī kyoñ hai
merī āñkhoñ meñ ye namī kyoñ hai
jis ko āñkho se duur rakhnā thā
aaj qurbat meñ phir vahī kyoñ hai
jabki sachchā.ī sirf syāhī hai
phir mire ghar meñ raushnī kyoñ hai
buuñd kī bhī to ek duniyā hai
buuñd ke bin nadī nadī kyoñ hai
tum ko 'ādarsh' sab milā hai yahāñ
dil meñ phir bhī ye tishnagī kyoñ hai
Thahri Thahri si zindagi kyon hai
meri aankhon mein ye nami kyon hai
jis ko aankho se dur rakhna tha
aaj qurbat mein phir wahi kyon hai
jabki sachchai sirf syahi hai
phir mere ghar mein raushni kyon hai
bund ki bhi to ek duniya hai
bund ke bin nadi nadi kyon hai
tum ko 'adarsh' sab mila hai yahan
dil mein phir bhi ye tishnagi kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.