thak gae hum rasan-o-dar tak aate aate
thak ga.e ham rasan-o-dār tak aate aate
miT ga.e ishq ke me.aar tak aate aate
raah ke pech muqaddar kī burā.ī ġham-e-zīst
mar na jā.eñge tire pyaar tak aate aate
aur bhī chand maqāmāt-e-talab guzre haiñ
daar se manzil-e-dildār tak aate aate
vo baḌhe hī the mirī samt ki phir ruk se ga.e
rah gayā dāman-e-gul ḳhaar tak aate aate
haa.e duniyā kā chalan haa.e zamāne kī ravish
ġham mile kitne ġham-e-yār tak aate aate
vo mazāmīn jo insāñ kā lahū garmā deñ
ruk ga.e haiñ mire ash.ār tak aate aate
kitne hāthoñ ne 'ḳhalish' khoī hai tāqat apnī
vaqt ke gesū-e-ḳhamdār tak aate aate
thak gae hum rasan-o-dar tak aate aate
miT gae ishq ke mear tak aate aate
rah ke pech muqaddar ki burai gham-e-zist
mar na jaenge tere pyar tak aate aate
aur bhi chand maqamat-e-talab guzre hain
dar se manzil-e-dildar tak aate aate
wo baDhe hi the meri samt ki phir ruk se gae
rah gaya daman-e-gul KHar tak aate aate
hae duniya ka chalan hae zamane ki rawish
gham mile kitne gham-e-yar tak aate aate
wo mazamin jo insan ka lahu garma den
ruk gae hain mere ashaar tak aate aate
kitne hathon ne 'KHalish' khoi hai taqat apni
waqt ke gesu-e-KHamdar tak aate aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.