thak gaya jab jism-o-jaan ke bojh ko Dhote hue
thak gayā jab jism-o-jāñ ke bojh ko Dhote hue
chal diyā vo maut ke āġhosh meñ sote hue
mujh ko paḌhnā thā ki puure ḳhvāb apne kar sakūñ
beach aayā muflisī kā vāqi.a rote hue
aañkh bhar aatī hai jab dekhūñ vo bachcha rail meñ
vo khilaune bechtā hai bachpanā khote hue
maiñ baḌī huuñ ye anā bhī gir paḌī thī tab mirī
jab mirā saayā dikhā mujh se baḌā hote hue
dost kyoñ saada kafan oḌhā diyā tum ne mujhe
mujh ko jaanā thā mire ash.ār meñ sote hue
thak gaya jab jism-o-jaan ke bojh ko Dhote hue
chal diya wo maut ke aaghosh mein sote hue
mujh ko paDhna tha ki pure KHwab apne kar sakun
beach aaya muflisi ka waqia rote hue
aankh bhar aati hai jab dekhun wo bachcha rail mein
wo khilaune bechta hai bachpana khote hue
main baDi hun ye ana bhi gir paDi thi tab meri
jab mera saya dikha mujh se baDa hote hue
dost kyon sada kafan oDha diya tum ne mujhe
mujh ko jaana tha mere ashaar mein sote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.