thak jata hun roz ke aane jaane mein
thak jaatā huuñ roz ke aane jaane meñ
merā bistar lagvā do maiḳhāne meñ
us ke haath meñ phuul hai mat kahiye kahiye
us kā haath hai phuul ko phuul banāne meñ
maiñ kab se mauqe kī taaq meñ huuñ us ko
jān-e-man kah duuñ jaane anjāne meñ
āñkhoñ meñ mat rok mujhe jaanā hai udhar
ye rasta khultā hai jis tah-ḳhāne meñ
laad na us ke husn kā itnā bojh 'charāġh'
aa jā.egī moch ġhazal ke shāne meñ
thak jata hun roz ke aane jaane mein
mera bistar lagwa do maiKHane mein
us ke hath mein phul hai mat kahiye kahiye
us ka hath hai phul ko phul banane mein
main kab se mauqe ki taq mein hun us ko
jaan-e-man kah dun jaane anjaane mein
aankhon mein mat rok mujhe jaana hai udhar
ye rasta khulta hai jis tah-KHane mein
lad na us ke husn ka itna bojh 'charagh'
aa jaegi moch ghazal ke shane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.