thak ke aaKHir shairi karni paDi
thak ke āḳhir shā.irī karnī paḌī
rahbaroñ kī rahbarī karnī paḌī
hazrat-e-ādam kī saada bhuul se
tā-qayāmat bandagī karnī paḌī
dostoñ kī dostī ko dekh kar
dushmanoñ se dostī karnī paḌī
de diyā hai chāñd sūraj ne javāb
dil-jaloñ ko raushnī karnī paḌī
jab kisī ne bhī na kuchh samjhā hameñ
yaar ko paiġhambarī karnī paḌī
thak ke aaKHir shairi karni paDi
rahbaron ki rahbari karni paDi
hazrat-e-adam ki sada bhul se
ta-qayamat bandagi karni paDi
doston ki dosti ko dekh kar
dushmanon se dosti karni paDi
de diya hai chand suraj ne jawab
dil-jalon ko raushni karni paDi
jab kisi ne bhi na kuchh samjha hamein
yar ko paighambari karni paDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.