tham tham ke barishen ab jalwa dikha rahi hain
tham tham ke bārisheñ ab jalva dikhā rahī haiñ
is par tumhārī yādeñ ham ko satā rahī haiñ
dil kis tarah rahegā āḳhir hamāre bas meñ
sāvan kī bhīnī rut hai pariyāñ bhī gā rahī haiñ
būñdeñ haiñ yā shajar par sham.eñ huī haiñ raushan
ye Dāliyāñ bhī dekho kyā muskurā rahī haiñ
dhartī pe sabz chādar allāh ne bichhā dī
aao bahāreñ tum ko vāpas bulā rahī haiñ
jhīñgur ke mast gītoñ kā shor hai fazā meñ
nadiyoñ kī pā.eleñ bhī naġhme luTā rahī haiñ
tham tham ke barishen ab jalwa dikha rahi hain
is par tumhaari yaaden hum ko sata rahi hain
dil kis tarah rahega aaKHir hamare bas mein
sawan ki bhini rut hai pariyan bhi ga rahi hain
bunden hain ya shajar par shamen hui hain raushan
ye Daliyan bhi dekho kya muskura rahi hain
dharti pe sabz chadar allah ne bichha di
aao bahaaren tum ko wapas bula rahi hain
jhingur ke mast giton ka shor hai faza mein
nadiyon ki paelen bhi naghme luTa rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.