thapak thapak ke jinhen hum sulate rahte hain
thapak thapak ke jinheñ ham sulāte rahte haiñ
vo ḳhvāb ham ko hamesha jagāte rahte haiñ
umīdeñ jāgtī rahtī haiñ sotī rahtī haiñ
darīche sham.a jalāte bujhāte rahte haiñ
na jaane kis kā hameñ intizār rahtā hai
ki bām-o-dar ko hamesha sajāte rahte haiñ
kisī ko DhūñDte haiñ ham kisī ke paikar meñ
kisī kā chehra kisī se milāte rahte haiñ
vo naqsh-e-ḳhvāb mukammal kabhī nahīñ hotā
tamām umr jise ham banāte rahte haiñ
usī kā aks har ik rañg meñ jhalaktā hai
vo ek dard jise sab chhupāte rahte haiñ
hameñ ḳhabar hai kabhī lauT kar na ā.eñge
ga.e dinoñ ko magar ham bulāte rahte haiñ
ye khel sirf tumhīñ khelte nahīñ 'ālam'
sabhī ḳhalā meñ lakīreñ banāte rahte haiñ
thapak thapak ke jinhen hum sulate rahte hain
wo KHwab hum ko hamesha jagate rahte hain
umiden jagti rahti hain soti rahti hain
dariche shama jalate bujhate rahte hain
na jaane kis ka hamein intizar rahta hai
ki baam-o-dar ko hamesha sajate rahte hain
kisi ko DhunDte hain hum kisi ke paikar mein
kisi ka chehra kisi se milate rahte hain
wo naqsh-e-KHwab mukammal kabhi nahin hota
tamam umr jise hum banate rahte hain
usi ka aks har ek rang mein jhalakta hai
wo ek dard jise sab chhupate rahte hain
hamein KHabar hai kabhi lauT kar na aaenge
gae dinon ko magar hum bulate rahte hain
ye khel sirf tumhin khelte nahin 'alam'
sabhi KHala mein lakiren banate rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.