thapkiyan de ke tere gham ko sulaya humne
thapkiyāñ de ke tire ġham ko sulāyā ham ne
kyā kaheñ kis tarah ye bojh uThāyā ham ne
shaam paḌte hī diyā kaun jalātā hai yahāñ
is havelī meñ na insāñ koī paayā ham ne
yuuñ to har zarre se pūchhā tire jaane kā sabab
raaz gahrā thā kisī ko na batāyā ham ne
vo ajab shaḳhs thā har dar pe jhukātā thā jabīñ
chaah kar bhī to nahīñ us ko bhulāyā ham ne
thapkiyan de ke tere gham ko sulaya hum ne
kya kahen kis tarah ye bojh uThaya hum ne
sham paDte hi diya kaun jalata hai yahan
is haweli mein na insan koi paya hum ne
yun to har zarre se puchha tere jaane ka sabab
raaz gahra tha kisi ko na bataya hum ne
wo ajab shaKHs tha har dar pe jhukata tha jabin
chah kar bhi to nahin us ko bhulaya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.