the mere zaKHmon ke aaine tamam
the mire zaḳhmoñ ke ā.īne tamām
dāġh-dāġh aa.e nazar siine tamām
sab nazar aate haiñ chehre gard gard
kyā hue be-āb ā.īne tamām
ek manzil aur hai ik jast aur
aadmī tai kar chukā ziine tamām
maut le kar ek āñdhī aa.ī thī
kho diye insān bastī ne tamām
tāzgī chehre pe ab to lā.iye
pī liyā hai zahr 'kaifī' ne tamām
the mere zaKHmon ke aaine tamam
dagh-dagh aae nazar sine tamam
sab nazar aate hain chehre gard gard
kya hue be-ab aaine tamam
ek manzil aur hai ek jast aur
aadmi tai kar chuka zine tamam
maut le kar ek aandhi aai thi
kho diye insan basti ne tamam
tazgi chehre pe ab to laiye
pi liya hai zahr 'kaifi' ne tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.