the wo qisse magar sarab ke the
the vo qisse magar sarāb ke the
jaane vaale ḳhayāl-o-ḳhvāb ke the
lamha lamha kisī kī yādeñ thiiñ
roz-o-shab the magar azaab ke the
us kā chehra thā aur shīshoñ meñ
aks khilte hue gulāb ke the
gard-e-rah thī miyān-e-manzil-o-dil
dhuñdle dhuñdle nuqūsh ḳhvāb ke the
the wo qisse magar sarab ke the
jaane wale KHayal-o-KHwab ke the
lamha lamha kisi ki yaaden thin
roz-o-shab the magar azab ke the
us ka chehra tha aur shishon mein
aks khilte hue gulab ke the
gard-e-rah thi miyan-e-manzil-o-dil
dhundle dhundle nuqush KHwab ke the
- Book : Soch Nager
- Author : Hassan Aabid
- Publication : Karwa.n Publications (1980)
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.