thi aarzu uruj par aur ru-ba-ru thi raat
thī aarzū uruuj par aur rū-ba-rū thī raat
koī mire qarīb thā thī aarzū kī raat
anjāne meñ asiir huī thī nazar magar
taskīn dil ko de ga.ī vo muḳhtasar sī raat
jhapkī palak guzar ga.ī chāhe tavīl thī
dil ko panāh de ga.ī āvārgī kī raat
kis ko ḳhabar thī taḌpeñge furqat meñ umr bhar
in lamhoñ ke guzārne ke fikr meñ thī raat
ye tishnagī ye shauq miTegā na umr bhar
ḳhāmosh rah ke kar ga.ī kuchh arz saarī raat
jaadū thā us kī aañkh kā koī junūn thā
āḳhir ye jaane kyā huā hairān sī thī raat
lamhoñ meñ thī simaT ga.ī vo lambī kaalī raat
lagne lagī na.ī na.ī thī raat sī hī raat
'anjum' kahūñ to kyā kahūñ hāl-e-dil-e-hazīñ
kis darja josh bhar ga.ī vo muskurātī raat
thi aarzu uruj par aur ru-ba-ru thi raat
koi mere qarib tha thi aarzu ki raat
anjaane mein asir hui thi nazar magar
taskin dil ko de gai wo muKHtasar si raat
jhapki palak guzar gai chahe tawil thi
dil ko panah de gai aawargi ki raat
kis ko KHabar thi taDpenge furqat mein umr bhar
in lamhon ke guzarne ke fikr mein thi raat
ye tishnagi ye shauq miTega na umr bhar
KHamosh rah ke kar gai kuchh arz sari raat
jadu tha us ki aankh ka koi junun tha
aaKHir ye jaane kya hua hairan si thi raat
lamhon mein thi simaT gai wo lambi kali raat
lagne lagi nai nai thi raat si hi raat
'anjum' kahun to kya kahun haal-e-dil-e-hazin
kis darja josh bhar gai wo muskuraati raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.