thi humne pyar mein har baat mani kya karte
thī ham ne pyaar meñ har baat maanī kyā karte
hameñ hī kahte rahe vo divānī kyā karte
kal us ke hijr kī dīvār toḌ dī ham ne
na.e zamāne meñ yādeñ purānī kyā karte
tumhāre saath hī kirdār thā hamārā bhī
jo tum ga.e to ham aage kahānī kyā karte
yūñhī uThā ke buḌhāpe ko sauñp dī ham ne
tumhāre baad bharī ye javānī kyā karte
nigal liyā vo nagīna ba-vaqt-e-ruḳhsatī hī
tumhāre naam kī thī jo nishānī kyā karte
'diyā' ye aañkh to ik ḳhvāb se hī bhar aa.ī
tumhāre naam pe ham zindagānī kyā karte
thi hum ne pyar mein har baat mani kya karte
hamein hi kahte rahe wo diwani kya karte
kal us ke hijr ki diwar toD di hum ne
nae zamane mein yaaden purani kya karte
tumhaare sath hi kirdar tha hamara bhi
jo tum gae to hum aage kahani kya karte
yunhi uTha ke buDhape ko saunp di hum ne
tumhaare baad bhari ye jawani kya karte
nigal liya wo nagina ba-waqt-e-ruKHsati hi
tumhaare nam ki thi jo nishani kya karte
'diya' ye aankh to ek KHwab se hi bhar aai
tumhaare nam pe hum zindagani kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.