thi jis ki justuju wo haqiqat nahin mili
thī jis kī justujū vo haqīqat nahīñ milī
in bastiyoñ meñ ham ko rifāqat nahīñ milī
ab tak haiñ is gumāñ meñ ki ham bhī haiñ dahr meñ
is vahm se najāt kī sūrat nahīñ milī
rahnā thā us ke saath bahut der tak magar
in roz o shab meñ mujh ko ye fursat nahīñ milī
kahnā thā jis ko us se kisī vaqt meñ mujhe
is baat ke kalām kī mohlat nahīñ milī
kuchh din ke ba.ad us se judā ho ga.e 'munīr'
us bevafā se apnī tabī.at nahīñ milī
thi jis ki justuju wo haqiqat nahin mili
in bastiyon mein hum ko rifaqat nahin mili
ab tak hain is guman mein ki hum bhi hain dahr mein
is wahm se najat ki surat nahin mili
rahna tha us ke sath bahut der tak magar
in roz o shab mein mujh ko ye fursat nahin mili
kahna tha jis ko us se kisi waqt mein mujhe
is baat ke kalam ki mohlat nahin mili
kuchh din ke baad us se juda ho gae 'munir'
us bewafa se apni tabiat nahin mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.