thi lagan sunte teri shoKHi-e-pa ki aahaT
thī lagan sunte tirī shoḳhī-e-pā kī aahaT
mujh ko chauñkātī rahī bād-e-sabā kī aahaT
rāt-bhar qāfila yādoñ kā rahā dil meñ muqīm
kaan meñ aatī rahī us kaf-e-pā kī aahaT
chaap qadmoñ kī tire kaash sunā.ī detī
pai-ba-pai aatī hai ab paik-e-qazā kī aahaT
'qādrī' tez karo sham-e-yaqīñ tez karo
raat tārīk hai aatī hai balā kī aahaT
thi lagan sunte teri shoKHi-e-pa ki aahaT
mujh ko chaunkati rahi baad-e-saba ki aahaT
raat-bhar qafila yaadon ka raha dil mein muqim
kan mein aati rahi us kaf-e-pa ki aahaT
chap qadmon ki tere kash sunai deti
pai-ba-pai aati hai ab paik-e-qaza ki aahaT
'qadri' tez karo sham-e-yaqin tez karo
raat tarik hai aati hai bala ki aahaT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.