thi mohabbat ki kar-farmai
thī mohabbat kī kār-farmā.ī
varna maiñ aur nāsiya-sā.ī
chashm-o-abrū ke hādsāt vahī
aur vahī uzr-e-nā-shakebā.ī
vo tamannā kā ḳhuuñ sahī lekin
dil meñ ik buuñd to nazar aa.ī
mere hamrāz ye nasheb-o-farāz
allah allāh ġham kī gahrā.ī
zindagī hai ki ek mauj-e-sarāb
dūr-tar ḳhūb-tar nazar aa.ī
ab garebāñ pe dekheñ kyā biite
chāñd kī raat phir palaT aa.ī
baḌhtī jaatī haiñ dhaḌkaneñ dil kī
kis ne taklīf-e-nāz farmā.ī
jiit lī jis ne dil kī arz-e-pāk
ek aisī shikast bhī khaa.ī
ishq kī aag be-panāh sahī
husn par aañch bhī kabhī aa.ī
baiThe baiThe na jaane kyoñ apnī
aañkh be-iḳhtiyār bhar aa.ī
dam na ehsās kā ulaT jaa.e
rain añdherī hai aur tanhā.ī
thi mohabbat ki kar-farmai
warna main aur nasiya-sai
chashm-o-abru ke hadsat wahi
aur wahi uzr-e-na-shakebai
wo tamanna ka KHun sahi lekin
dil mein ek bund to nazar aai
mere hamraaz ye nasheb-o-faraaz
allah allah gham ki gahrai
zindagi hai ki ek mauj-e-sarab
dur-tar KHub-tar nazar aai
ab gareban pe dekhen kya bite
chand ki raat phir palaT aai
baDhti jati hain dhaDkanen dil ki
kis ne taklif-e-naz farmai
jit li jis ne dil ki arz-e-pak
ek aisi shikast bhi khai
ishq ki aag be-panah sahi
husn par aanch bhi kabhi aai
baiThe baiThe na jaane kyon apni
aankh be-iKHtiyar bhar aai
dam na ehsas ka ulaT jae
rain andheri hai aur tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.