thi to ye ek baat hi par sang-e-mil thi
thī to ye ek baat hī par sañg-e-mīl thī
khone kā ḳhauf use bhī hirāsāñ kiye rahā
bādal bharā-bharāyā na barsā to rañj kyā
is dhuup ke safar ko to āsāñ kiye rahā
ye ek shai alag se rag-e-jāñ pe baar thī
ik lamha-e-firāq pareshāñ kiye rahā
kyā moḌ thā ki zabt kā yaarā nahīñ rahā
hālāñki 'umr bhar dil-e-nādāñ kiye rahā
us ġham ke qarz-dār haiñ tīra-shaboñ meñ bhī
radd-e-vafā kā daaġh farozāñ kiye rahā
kab aap jānte haiñ ki ik dard mustaqil
paimāñ kī shaam shām-e-ġharībāñ kiye rahā
thi to ye ek baat hi par sang-e-mil thi
khone ka KHauf use bhi hirasan kiye raha
baadal bhara-bharaya na barsa to ranj kya
is dhup ke safar ko to aasan kiye raha
ye ek shai alag se rag-e-jaan pe bar thi
ek lamha-e-firaq pareshan kiye raha
kya moD tha ki zabt ka yara nahin raha
haalanki 'umr bhar dil-e-nadan kiye raha
us gham ke qarz-dar hain tira-shabon mein bhi
radd-e-wafa ka dagh farozan kiye raha
kab aap jaante hain ki ek dard mustaqil
paiman ki sham sham-e-ghariban kiye raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.