thi yaad kis dayar ki jo aa ke yun rula gai
thī yaad kis dayār kī jo aa ke yuuñ rulā ga.ī
bas ek pal meñ jaise zindagī bhī Dagmagā ga.ī
gumāñ thā ye ki dab ga.iiñ vo hasratoñ kī bijliyāñ
ye kaun sī na.ī chamak bujhe diye jalā ga.ī
girā.īñ shāḳh shāḳh se ḳhizāñ ne phuul pattiyāñ
uḌe jo biij har taraf to phir bahār aa ga.ī
khulā nigāh-e-yār kā jo mai-kada to yuuñ lagā
ki pyaas ek umar kī bas ik nazar bujhā ga.ī
ḳhudā-qasam maiñ bach gayā ḳhatā kī tez dhaar se
junūñ kī ik adā thī jo mujhe yuuñ aazmā ga.ī
ye kyā huā ki ab tujhī se bad-gumāñ maiñ ho gayā
maiñ sochtā thā zindagī tū mujh ko raas aa ga.ī
milī hai 'āzim'-e-suḳhan ye kaisī tīrgī tujhe
tire ḳhayāl meñ jo itnī raushnī baḌhā ga.ī
thi yaad kis dayar ki jo aa ke yun rula gai
bas ek pal mein jaise zindagi bhi Dagmaga gai
guman tha ye ki dab gain wo hasraton ki bijliyan
ye kaun si nai chamak bujhe diye jala gai
girain shaKH shaKH se KHizan ne phul pattiyan
uDe jo bij har taraf to phir bahaar aa gai
khula nigah-e-yar ka jo mai-kada to yun laga
ki pyas ek umar ki bas ek nazar bujha gai
KHuda-qasam main bach gaya KHata ki tez dhaar se
junun ki ek ada thi jo mujhe yun aazma gai
ye kya hua ki ab tujhi se bad-guman main ho gaya
main sochta tha zindagi tu mujh ko ras aa gai
mili hai 'azim'-e-suKHan ye kaisi tirgi tujhe
tere KHayal mein jo itni raushni baDha gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.