Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thin nasim-o-saba tak gawara narm raftar o sada hawaen

Mukhtar Hashmi

thin nasim-o-saba tak gawara narm raftar o sada hawaen

Mukhtar Hashmi

MORE BYMukhtar Hashmi

    thiiñ nasīm-o-sabā tak gavārā narm raftār o saada havā.eñ

    band kiije darīche suḳhan ke ab haiñ had se ziyāda havā.eñ

    sham-e-ḳhas-ḳhāna bhī bujhte bujhte lākhoñ sho.aloñ ḳhāliq banegī

    be-zarūrat agar oḌh leñgī āñdhiyoñ labāda havā.eñ

    yaad hai bāġh-e-be-ġhuncha-o-gul shāḳh-e-be-tā.ir-o-āshiyāna

    ġhāliban phir unhīñ shorishoñ kar rahī haiñ i.aada havā.eñ

    sub.h-dam be-sabab to nahīñ hai vādī-e-gul pe ye rang-pāshī

    ḳhārzāroñ meñ bhaTkī haiñ shāyad rāt-bhar pā-piyāda havā.eñ

    nūr-o-zulmat is kashmakash meñ hai giraftār-e-zauq-e-tajassus

    marhala marhala māñda sham.eñ tez-rau jaada jaada havā.eñ

    thin nasim-o-saba tak gawara narm raftar o sada hawaen

    band kije dariche suKHan ke ab hain had se ziyaada hawaen

    sham-e-KHas-KHana bhi bujhte bujhte lakhon shoalon ki KHaliq banegi

    be-zarurat agar oDh lengi aandhiyon ka labaada hawaen

    yaad hai bagh-e-be-ghuncha-o-gul shaKH-e-be-tair-o-ashiyana

    ghaaliban phir unhin shorishon ka kar rahi hain iada hawaen

    subh-dam be-sabab to nahin hai wadi-e-gul pe ye rang-pashi

    KHarzaron mein bhaTki hain shayad raat-bhar pa-piyaada hawaen

    nur-o-zulmat ki is kashmakash mein hai giraftar-e-zauq-e-tajassus

    marhala marhala manda shamen tez-rau jada jada hawaen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now