ThiThak gaya mah-e-nau jhil mein utarte hue
ThiThak gayā mah-e-nau jhiil meñ utarte hue
to ham ne dekhā hai āb-e-ravāñ Thaharte hue
qasīda-goī ḳhad-o-ḳhāl kī nazāre kareñ
vo aa.ine se kare guftugū sañvarte hue
na ird-gird kā kuchh hosh thā na ḳhud apnā
ajiib haal thā ḳhushbū se baat karte hue
phir is ke baad simaTne kī aarzū na rahī
kuchh aisā lutf milā TūTte bikharte hue
maiñ apnā haal chhupāne meñ kāmyāb rahā
na dekh paayā vo āñkhoñ meñ ashk bharte hue
zamīñ pe jis kī koī qadr thī na izzat thī
milā thā vādī-e-aflāk se guzarte hue
zabāñ se kuchh na kahā muskurā ke dekh liyā
'mujīb' se jo kiyā ik savāl Darte hue
ThiThak gaya mah-e-nau jhil mein utarte hue
to hum ne dekha hai aab-e-rawan Thaharte hue
qasida-goi KHad-o-KHal ki nazare karen
wo aaine se kare guftugu sanwarte hue
na ird-gird ka kuchh hosh tha na KHud apna
ajib haal tha KHushbu se baat karte hue
phir is ke baad simaTne ki aarzu na rahi
kuchh aisa lutf mila TuTte bikharte hue
main apna haal chhupane mein kaamyab raha
na dekh paya wo aankhon mein ashk bharte hue
zamin pe jis ki koi qadr thi na izzat thi
mila tha wadi-e-aflak se guzarte hue
zaban se kuchh na kaha muskura ke dekh liya
'mujib' se jo kiya ek sawal Darte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.