thoDa bahut jo pyar mila gham-gusar se
thoḌā bahut jo pyaar milā ġham-gusār se
vo bhī gumāñ ne chhīn liyā qalb-e-zār se
hai kaun sā maqām mohabbat na pūchhiye
nazdīk aa ke ho gayā maiñ duur yaar se
aql-o-ḳhirad ke daam meñ uljhī huī hayāt
kab tak fareb khā.egī apne ġhubār se
aaya ye shāḳh-e-gul kī tarah kaun jhūmtā
añgḌā.ī le rahā hai chaman bhī ḳhumār se
dil kī zamīñ pe kis ne ye rakkhā qadam 'shafīq'
āvāz kis kī aa.ī is ujḌe dayār se
thoDa bahut jo pyar mila gham-gusar se
wo bhi guman ne chhin liya qalb-e-zar se
hai kaun sa maqam mohabbat na puchhiye
nazdik aa ke ho gaya main dur yar se
aql-o-KHirad ke dam mein uljhi hui hayat
kab tak fareb khaegi apne ghubar se
aaya ye shaKH-e-gul ki tarah kaun jhumta
angDai le raha hai chaman bhi KHumar se
dil ki zamin pe kis ne ye rakkha qadam 'shafiq'
aawaz kis ki aai is ujDe dayar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.