Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thoDa hai jis qadar main paDhun KHat habib ka

Lala Madhav Ram Jauhar

thoDa hai jis qadar main paDhun KHat habib ka

Lala Madhav Ram Jauhar

thoḌā hai jis qadar maiñ paḌhūñ ḳhat habīb

dekhā hai aaj āñkhoñ se likkhā nasīb

ham mai-kashoñ ne nashshe meñ aise kiye savāl

dam band kar diyā sar-e-mimbar-ḳhatīb

sayyād ghaat meñ hai kahīñ bāġhbāñ kahīñ

saarā chaman hai dushman-e-jāñ andalīb

apnī zabān se mujhe jo chāhe kah leñ aap

baḌh baḌh ke bolnā nahīñ achchhā raqīb

āñkheñ safed ho ga.iiñ jab intizār meñ

us vaqt nāma-bar ne diyā ḳhat habīb

qismat Dubone laa.ī hai dariyā-e-ishq meñ

ai ḳhizr paar kījiye beḌā ġharīb

vo be-ḳhatā haiñ un se shikāyat kis liye

'jauhar' ye sab qusūr hai apne nasīb

thoDa hai jis qadar main paDhun KHat habib ka

dekha hai aaj aankhon se likkha nasib ka

hum mai-kashon ne nashshe mein aise kiye sawal

dam band kar diya sar-e-mimbar-KHatib ka

sayyaad ghat mein hai kahin baghban kahin

sara chaman hai dushman-e-jaan andalib ka

apni zaban se mujhe jo chahe kah len aap

baDh baDh ke bolna nahin achchha raqib ka

aankhen safed ho gain jab intizar mein

us waqt nama-bar ne diya KHat habib ka

qismat Dubone lai hai dariya-e-ishq mein

ai KHizr par kijiye beDa gharib ka

wo be-KHata hain un se shikayat hi kis liye

'jauhar' ye sab qusur hai apne nasib ka

RECITATIONS

Fasih Akmal

Fasih Akmal,

Fasih Akmal

thoDa hai jis qadar main paDhun KHat habib ka Fasih Akmal

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now