thoDi ziddi hai magar dekhna thak jaegi
thoḌī ziddī hai magar dekhnā thak jā.egī
ek dīvār mire saath chipak jā.egī
ye batāo ki kahīñ ruk to nahīñ jaanā hai
ye batāo ki kahāñ tak ye saḌak jā.egī
zabt vaalā huuñ magar sāmne aa kar us ke
jāntā huuñ ki mirī aañkh chhalak jā.egī
sirf peḌoñ ke hī chehre nahīñ utre hoñge
saarī bastī pe udāsī vo chhiḌak jā.egī
raat chaupāl meñ dete the tasallī saare
chand hī roz haiñ ab fasl bhī pak jā.egī
phal kā phir bojh to us se nahīñ uThne vaalā
baur aate hī agar shāḳh lachak jā.egī
us ne māñ-bāp kā chup-chāp kahā maan liyā
maiñ to samjhā thā ki pañkhe se laTak jā.egī
thoDi ziddi hai magar dekhna thak jaegi
ek diwar mere sath chipak jaegi
ye batao ki kahin ruk to nahin jaana hai
ye batao ki kahan tak ye saDak jaegi
zabt wala hun magar samne aa kar us ke
jaanta hun ki meri aankh chhalak jaegi
sirf peDon ke hi chehre nahin utre honge
sari basti pe udasi wo chhiDak jaegi
raat chaupal mein dete the tasalli sare
chand hi roz hain ab fasl bhi pak jaegi
phal ka phir bojh to us se nahin uThne wala
baur aate hi agar shaKH lachak jaegi
us ne man-bap ka chup-chap kaha man liya
main to samjha tha ki pankhe se laTak jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.