Thokar se dusron ko bachane ka shukriya
Thokar se dūsroñ ko bachāne kā shukriya
patthar ko rāste se haTāne kā shukriya
ab ye batā.eñ aap kī maiñ kyā madad karūñ
farzī kahānī mujh ko sunāne kā shukriya
mere bahut se kaam adhūre nahīñ rahe
ai dost itne roz na aane kā shukriya
tanhā nahīñ rahā tire jaane ke ba.ad maiñ
kuchh ajnabī ġhamoñ se milāne kā shukriya
itnī ḳhushī milī ki sambhālī nahīñ ga.ī
do-chār lamhe mujh pe luTāne kā shukriya
mahbūb tere hijr meñ kartā huuñ shā.irī
mujh ko kisī Thikāne lagāne kā shukriya
Thokar se dusron ko bachane ka shukriya
patthar ko raste se haTane ka shukriya
ab ye bataen aap ki main kya madad karun
farzi kahani mujh ko sunane ka shukriya
mere bahut se kaam adhure nahin rahe
ai dost itne roz na aane ka shukriya
tanha nahin raha tere jaane ke baad main
kuchh ajnabi ghamon se milane ka shukriya
itni KHushi mili ki sambhaali nahin gai
do-chaar lamhe mujh pe luTane ka shukriya
mahbub tere hijr mein karta hun shairi
mujh ko kisi Thikane lagane ka shukriya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.