Thukrao ab ki pyar karo main nashe mein hun
Thukrāo ab ki pyaar karo maiñ nashe meñ huuñ
jo chāho mere yaar karo maiñ nashe meñ huuñ
ab bhī dilā rahā huuñ yaqīn-e-vafā magar
merā na e'tibār karo maiñ nashe meñ huuñ
ab tum ko iḳhtiyār hai ai ahl-e-kārvāñ
jo raah iḳhtiyār karo maiñ nashe meñ huuñ
girne do tum mujhe mirā sāġhar sambhāl lo
itnā to mere yaar karo maiñ nashe meñ huuñ
apnī jise nahīñ use 'shāhid' kī kyā ḳhabar
tum us kā intizār karo maiñ nashe meñ huuñ
Thukrao ab ki pyar karo main nashe mein hun
jo chaho mere yar karo main nashe mein hun
ab bhi dila raha hun yaqin-e-wafa magar
mera na e'tibar karo main nashe mein hun
ab tum ko iKHtiyar hai ai ahl-e-karwan
jo rah iKHtiyar karo main nashe mein hun
girne do tum mujhe mera saghar sambhaal lo
itna to mere yar karo main nashe mein hun
apni jise nahin use 'shahid' ki kya KHabar
tum us ka intizar karo main nashe mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.