tifl ko sulana hai thapkiyan samajhti hain
tifl ko sulānā hai thapkiyāñ samajhtī haiñ
fikr saarī maaoñ kī loriyāñ samajhtī haiñ
āb-o-tāb rakhte haiñ log bhī samundar bhī
kaun kitnā gahrā hai Dubkiyāñ samajhtī haiñ
sub.h sub.h jaatī haiñ roTiyāñ kamāne ko
baap kī jo hālat hai beTiyāñ samajhtī haiñ
vo bhī zulm sahtī haiñ vo bhī TuuT jaatī haiñ
dard ek aurat kā chūḌiyāñ samajhtī haiñ
jab 'shu.ūr' dilbar kā intizār kartā hai
us kī be-qarārī ko khiḌkiyāñ samajhtī haiñ
tifl ko sulana hai thapkiyan samajhti hain
fikr sari maon ki loriyan samajhti hain
aab-o-tab rakhte hain log bhi samundar bhi
kaun kitna gahra hai Dubkiyan samajhti hain
subh subh jati hain roTiyan kamane ko
bap ki jo haalat hai beTiyan samajhti hain
wo bhi zulm sahti hain wo bhi TuT jati hain
dard ek aurat ka chuDiyan samajhti hain
jab 'shuur' dilbar ka intizar karta hai
us ki be-qarari ko khiDkiyan samajhti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.