tir-andazon ko andaza nahin
tīr-andāzoñ ko andāza nahīñ
zad meñ aanā thā jise aayā nahīñ
kuchh tasavvur kuchh tavaqqo' kuchh gumāñ
ye bhī kyā ḳhvāboñ kā ḳhamyāza nahīñ
saarī bastī meñ faqat ik terī zaat
qibla-o-ka.aba sahī kā'ba nahīñ
jis havā meñ tū hai āqā-e-chaman
koī bhī jhoñkā vahāñ taaza nahīñ
dhuul kī āñkhoñ meñ jā hotī nahīñ
paañv meñ lagtā kabhī surma nahīñ
hai khaḌā sāhil pe lahroñ se pare
paar jaane par vo āmāda nahīñ
chāhtā hai tū jo taz.īn-e-vafā
phuul lā kāñToñ kā guldasta nahīñ
apne dil meñ aap hī rahtā hai vo
dūsrā kyā us meñ rah saktā nahīñ
āsmāñ ḳhāmosh ho aur log chup
der tak ye silsila chaltā nahīñ
tir-andazon ko andaza nahin
zad mein aana tha jise aaya nahin
kuchh tasawwur kuchh tawaqqo' kuchh guman
ye bhi kya KHwabon ka KHamyaza nahin
sari basti mein faqat ek teri zat
qibla-o-kaba sahi ka'ba nahin
jis hawa mein tu hai aaqa-e-chaman
koi bhi jhonka wahan taza nahin
dhul ki aankhon mein ja hoti nahin
panw mein lagta kabhi surma nahin
hai khaDa sahil pe lahron se pare
par jaane par wo aamada nahin
chahta hai tu jo tazin-e-wafa
phul la kanTon ka guldasta nahin
apne dil mein aap hi rahta hai wo
dusra kya us mein rah sakta nahin
aasman KHamosh ho aur log chup
der tak ye silsila chalta nahin
- Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 105)
- Author : Siddiqah Begum
- Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.