tir-e-nazar ne aap ki ghail kiya mujhe
tir-e-nazar ne aap ki ghail kiya mujhe
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
MORE BYAshhad Bilal Ibn-e-chaman
tīr-e-nazar ne aap kī ghā.il kiyā mujhe
phir shauq-e-intizār ne pāgal kyā mujhe
aisī chalī havā-e-gulistāñ mirī taraf
chhū kar bū-e-gulāb ne sandal kyā mujhe
beToñ ne mere naam kī dastār pahn lī
aur beTiyoñ ne sūrat-e-āñchal kyā mujhe
baḌhne lagī hai dil kī tamannā-e-āshiqī
yuuñ aa ke terī yaad ne bekal kyā mujhe
hosh-o-havās khone lagā huuñ firāq meñ
tanhā.iyoñ ne aisā muqaffal kyā mujhe
pahle to āzmāyā atā-e-bahisht se
phir bhej kar jahān meñ afzal kyā mujhe
har shaḳhs mo'tarif ki muhibb-e-vatan huuñ maiñ
phir 'adliya ne kyuuñ sar-e-maqtal kyā mujhe
ibn-e-chaman hai terī vafāoñ pe jāñ-nisār
apnā banā ke tū ne mukammal kyā mujhe
tir-e-nazar ne aap ki ghail kiya mujhe
phir shauq-e-intizar ne pagal kya mujhe
aisi chali hawa-e-gulistan meri taraf
chhu kar bu-e-gulab ne sandal kya mujhe
beTon ne mere nam ki dastar pahn li
aur beTiyon ne surat-e-anchal kya mujhe
baDhne lagi hai dil ki tamanna-e-ashiqi
yun aa ke teri yaad ne bekal kya mujhe
hosh-o-hawas khone laga hun firaq mein
tanhaiyon ne aisa muqaffal kya mujhe
pahle to aazmaya ata-e-bahisht se
phir bhej kar jahan mein afzal kya mujhe
har shaKHs mo'tarif ki muhibb-e-watan hun main
phir 'adliya ne kyun sar-e-maqtal kya mujhe
ibn-e-chaman hai teri wafaon pe jaan-nisar
apna bana ke tu ne mukammal kya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.