tir-o-talwar se nahin hota
tīr-o-talvār se nahīñ hotā
kaam hathiyār se nahīñ hotā
ghaav bhartā hai dhīre dhīre hī
kuchh bhī raftār se nahīñ hotā
khel meñ bhāvnā hai zinda to
farq kuchh haar se nahīñ hotā
sirf nuqsān hotā hai yaaro
laabh takrār se nahīñ hotā
us pe kal roTiyāñ lapeTe sab
kuchh bhī aḳhbār se nahīñ hotā
tir-o-talwar se nahin hota
kaam hathiyar se nahin hota
ghaw bharta hai dhire dhire hi
kuchh bhi raftar se nahin hota
khel mein bhawna hai zinda to
farq kuchh haar se nahin hota
sirf nuqsan hota hai yaro
labh takrar se nahin hota
us pe kal roTiyan lapeTe sab
kuchh bhi aKHbar se nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.