tirgi ho to kya kare koi
tīrgī ho to kyā kare koī
sham.a ban kar jalā kare koī
ḳhud ko ġham-āshnā kare koī
dard-e-dil phir sivā kare koī
dhajjiyāñ kar ke jeb-o-dāmāñ kī
haq junūñ kā adā kare koī
dasht-e-vahm-o-gumāñ meñ phir apnā
ḳhizr ko rahnumā kare koī
kaif-parvarda dil-nashīñ yādeñ
dil se kaise judā kare koī
dil se majbūr hai 'sahar' apne
tark kaise vafā kare koī
tirgi ho to kya kare koi
shama ban kar jala kare koi
KHud ko gham-ashna kare koi
dard-e-dil phir siwa kare koi
dhajjiyan kar ke jeb-o-daman ki
haq junun ka ada kare koi
dasht-e-wahm-o-guman mein phir apna
KHizr ko rahnuma kare koi
kaif-parwarda dil-nashin yaaden
dil se kaise juda kare koi
dil se majbur hai 'sahar' apne
tark kaise wafa kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.