tirgi mein bhi raushni hoti
tīrgī meñ bhī raushnī hotī
dil ko hāsil agar ḳhushī hotī
ik nazar mujh ko dekh lete to
dard meñ kuchh na kuchh kamī hotī
aap jalva agar na dikhlāte
mere ghar meñ bhī tīrgī hotī
dostoñ kī taraf se thī ummīd
kaash un se bhī dushmanī hotī
merā armān puurā ho jaatā
baat un se agar kabhī hotī
rāh-e-ġham manzil-e-mohabbat meñ
un kī sūrat bhī ajnabī hotī
'shād' vo chāhte to mumkin thā
apne ghar meñ bhī raushnī hotī
tirgi mein bhi raushni hoti
dil ko hasil agar KHushi hoti
ek nazar mujh ko dekh lete to
dard mein kuchh na kuchh kami hoti
aap jalwa agar na dikhlate
mere ghar mein bhi tirgi hoti
doston ki taraf se thi ummid
kash un se bhi dushmani hoti
mera arman pura ho jata
baat un se agar kabhi hoti
rah-e-gham manzil-e-mohabbat mein
un ki surat bhi ajnabi hoti
'shad' wo chahte to mumkin tha
apne ghar mein bhi raushni hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.