tirgi raat-bhar bikharti hai
tīrgī rāt-bhar bikhartī hai
tab kahīñ raushnī ubhartī hai
phuul sī un kī muskurāhaT bhī
phuul par uf girāñ guzartī hai
aañkh hai ā.ina-sifat us kī
dekh kar zindagī sañvartī hai
ishq hai qaul suufī santoñ kā
ishq se shaḳhsiyat nikhartī hai
chhāñv jaatī hai jab kisī ghar se
dhuup phir der tak Thahartī hai
tirgi raat-bhar bikharti hai
tab kahin raushni ubharti hai
phul si un ki muskurahaT bhi
phul par uf giran guzarti hai
aankh hai aaina-sifat us ki
dekh kar zindagi sanwarti hai
ishq hai qaul sufi santon ka
ishq se shaKHsiyat nikharti hai
chhanw jati hai jab kisi ghar se
dhup phir der tak Thaharti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.