tilism-e-dosh-o-farda se rihai chahta hun
tilism-e-dosh-o-fardā se rihā.ī chāhtā huuñ
maiñ shahr-e-ḳhvāb kī farmāñ-ravā.ī chāhtā huuñ
alag ho kar zarā sī der ko fikr-e-jahāñ se
maiñ apne aap se kuchh āshnā.ī chāhtā huuñ
girā dūñgā maiñ har dīvār apne rāste kī
ki maiñ darbār-e-shāhī tak rasā.ī chāhtā huuñ
ta'alluq toḌnā hogā mujhe āb-e-ravāñ se
agar maiñ aa.ine se kaj-adā.ī chāhtā huuñ
kabhī hai tark-e-duniyā par bahut isrār mujh ko
kabhī maiñ apne hisse kī ḳhudā.ī chāhtā huuñ
huī hai mehrbāñ mujh par mirī taqdīr 'sājid'
magar maiñ saarī duniyā kī bhalā.ī chāhtā huuñ
tilism-e-dosh-o-farda se rihai chahta hun
main shahr-e-KHwab ki farman-rawai chahta hun
alag ho kar zara si der ko fikr-e-jahan se
main apne aap se kuchh aashnai chahta hun
gira dunga main har diwar apne raste ki
ki main darbar-e-shahi tak rasai chahta hun
ta'alluq toDna hoga mujhe aab-e-rawan se
agar main aaine se kaj-adai chahta hun
kabhi hai tark-e-duniya par bahut israr mujh ko
kabhi main apne hisse ki KHudai chahta hun
hui hai mehrban mujh par meri taqdir 'sajid'
magar main sari duniya ki bhalai chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.