tilism-e-halqa-e-sayyargan mein kya rahna
tilism-e-halqa-e-sayyārgāñ meñ kyā rahnā
kisī kī saltanat-e-be-amāñ meñ kyā rahnā
alag jalāyā hai apnā charāġh is ḳhātir
tamām-umr saf-e-dostāñ meñ kyā rahnā
na-jāne chhīn le kab ham se shaah kā kirdār
fareb-e-umr tirī dāstāñ meñ kyā rahnā
ye vaqt lamha-e-maujūd kā tasalsul hai
malāl-e-ḳhvāhish-e-ā.indagāñ meñ kyā rahnā
agar vo ḳhurram-o-ābād hai to phir 'shahzād'
hameñ bhī ab kisī kār-e-ziyāñ meñ kyā rahnā
tilism-e-halqa-e-sayyargan mein kya rahna
kisi ki saltanat-e-be-aman mein kya rahna
alag jalaya hai apna charagh is KHatir
tamam-umr saf-e-dostan mein kya rahna
na-jaane chhin le kab hum se shah ka kirdar
fareb-e-umr teri dastan mein kya rahna
ye waqt lamha-e-maujud ka tasalsul hai
malal-e-KHwahish-e-aindagan mein kya rahna
agar wo KHurram-o-abaad hai to phir 'shahzad'
hamein bhi ab kisi kar-e-ziyan mein kya rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.