tera aashiq mere siwa hai kaun
tirā āshiq mire sivā hai kaun
be-vafā mujh sā bā-vafā hai kaun
ḳhair maiñ aap kā nahīñ koī
kahiye to ġhair aap kā hai kaun
sun ke logoñ se zikr-e-ḳhair mirā
bole kyā jaane vo balā hai kaun
mujh se ulfat thī tujh ko tujh se mujhe
dekh sābit qadam rahā hai kaun
merī tārīf sun ke kahte haiñ
aisā ye shaḳhs yā ḳhudā hai kaun
gar vo deñ apne haath se sāġhar
luuñ maiñ ye kah ke pārsā hai kaun
jab kahā maiñ ne koī hai āshiq
sun ke kahne lage vo kyā hai kaun
maiñ na chāhūñ tujhe to chāhūñ kise
tujh sā dildār dilrubā hai kaun
gar nahīñ tū to ye batā mujh ko
shoḳh ayyār pur-jafā hai kaun
kis ko marne kā ġhair ke ġham hai
rāt-din is meñ mubtalā hai kaun
dard-e-dil gar na maiñ kahūñ tujh se
dard-mandoñ kī phir davā hai kaun
ḳhush-mizājī meñ vaza-dārī meñ
'ranj' sā aur dūsrā hai kaun
tera aashiq mere siwa hai kaun
be-wafa mujh sa ba-wafa hai kaun
KHair main aap ka nahin koi
kahiye to ghair aap ka hai kaun
sun ke logon se zikr-e-KHair mera
bole kya jaane wo bala hai kaun
mujh se ulfat thi tujh ko tujh se mujhe
dekh sabit qadam raha hai kaun
meri tarif sun ke kahte hain
aisa ye shaKHs ya KHuda hai kaun
gar wo den apne hath se saghar
lun main ye kah ke parsa hai kaun
jab kaha main ne koi hai aashiq
sun ke kahne lage wo kya hai kaun
main na chahun tujhe to chahun kise
tujh sa dildar dilruba hai kaun
gar nahin tu to ye bata mujh ko
shoKH ayyar pur-jafa hai kaun
kis ko marne ka ghair ke gham hai
raat-din is mein mubtala hai kaun
dard-e-dil gar na main kahun tujh se
dard-mandon ki phir dawa hai kaun
KHush-mizaji mein waza-dari mein
'ranj' sa aur dusra hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.