Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera bulbul hun tujh gul ki qasam hai

Obaidullah Khan Mubtala

tera bulbul hun tujh gul ki qasam hai

Obaidullah Khan Mubtala

MORE BYObaidullah Khan Mubtala

    tirā bulbul huuñ tujh gul qasam hai

    birah suuñ mast huuñ mul qasam hai

    raqīb-e-rū-siyah khāvegā ab maar

    mujhe tujh kaale kākul qasam hai

    liye dil phirte haiñ daur zulaf meñ

    mujhe us ke tasalsul qasam hai

    na kar tuuñ bul-havas uupar talattuf

    tire dil ke tāmmul qasam hai

    ḳhudā āḳhir karegā ḳhush mirā dil

    mujhe apne tavakkul qasam hai

    nahīñ hotā huuñ milne señ kabhī ser

    tire man ke tafazzul qasam hai

    na rah ġhāfil tuuñ apne 'mubtalā' suuñ

    tujhe tere taġhāful qasam hai

    tera bulbul hun tujh gul ki qasam hai

    birah sun mast hun mul ki qasam hai

    raqib-e-ru-siyah khawega ab mar

    mujhe tujh kale kakul ki qasam hai

    liye dil phirte hain daur zulaf mein

    mujhe us ke tasalsul ki qasam hai

    na kar tun bul-hawas upar talattuf

    tere dil ke tammul ki qasam hai

    KHuda aaKHir karega KHush mera dil

    mujhe apne tawakkul ki qasam hai

    nahin hota hun milne sen kabhi ser

    tere man ke tafazzul ki qasam hai

    na rah ghafil tun apne 'mubtala' sun

    tujhe tere taghaful ki qasam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now