tera chehra tera husn-e-wafa kuchh aur kahta hai
tirā chehra tirā husn-e-vafā kuchh aur kahtā hai
magar shīrīñ-laboñ kā zā.iqa kuchh aur kahtā hai
tujhe sab shā.iroñ ne apne apne rañg meñ Dhālā
magar merī ġhazal kā aa.ina kuchh aur kahtā hai
ajab sī kashmakash meñ huuñ zavāl-e-ishq hai lāzim
sanam kuchh aur kahtā hai ḳhudā kuchh aur kahtā hai
tirī qurbat meñ chāhat kī kashish dekhī nahīñ lekin
hamāre darmiyāñ kā fāsla kuchh aur kahtā hai
añdheroñ se nikal chal jugnuoñ se dostī kar leñ
havā kuchh aur kahtī hai diyā kuchh aur kahtā hai
hamārī raah thī rāh-e-vafā 'ishrāq' ab lekin
hamāre qāfile kā rahnumā kuchh aur kahtā hai
tera chehra tera husn-e-wafa kuchh aur kahta hai
magar shirin-labon ka zaiqa kuchh aur kahta hai
tujhe sab shairon ne apne apne rang mein Dhaala
magar meri ghazal ka aaina kuchh aur kahta hai
ajab si kashmakash mein hun zawal-e-ishq hai lazim
sanam kuchh aur kahta hai KHuda kuchh aur kahta hai
teri qurbat mein chahat ki kashish dekhi nahin lekin
hamare darmiyan ka fasla kuchh aur kahta hai
andheron se nikal chal jugnuon se dosti kar len
hawa kuchh aur kahti hai diya kuchh aur kahta hai
hamari rah thi rah-e-wafa 'ishraq' ab lekin
hamare qafile ka rahnuma kuchh aur kahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.