tera chehra agar utra hua hai
tirā chehrā agar utrā huā hai
yahāñ par kuchh hai jo ochhā huā hai
tumhāre reshmī āñchal kā dhāga
hamāre haath se uljhā huā hai
udāsī peḌ par yūñhī nahīñ hai
parindoñ se kahīñ jhagḌā huā hai
kisī tā'vīz kī sūrat vo vā'da
hamāre haath par bāñdhā huā hai
faqat ik dil pe mat aañsū bahāo
bahut kuchh jism meñ TuuTā huā hai
sudharne kā mujhe tum kah rahe ho
koī TeḌhā kabhī sīdhā huā hai
tera chehra agar utra hua hai
yahan par kuchh hai jo ochha hua hai
tumhaare reshmi aanchal ka dhaga
hamare hath se uljha hua hai
udasi peD par yunhi nahin hai
parindon se kahin jhagDa hua hai
kisi ta'wiz ki surat wo wa'da
hamare hath par bandha hua hai
faqat ek dil pe mat aansu bahao
bahut kuchh jism mein TuTa hua hai
sudharne ka mujhe tum kah rahe ho
koi TeDha kabhi sidha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.